Department of Personnel and Training dwara samaya samaya per nirdharit ki jane wali sharaton ke adhaar par, Bhootpurva Sainik ki paribhasha (Definition of ex-serviceman) kayee baar badli hui hai. Is tarah Bhootpurva Sainikon ko unki sevanivruti ki tithi ke adhaar par nimnlikhit dhang se paribhashit kiya jata hai:-
(a) 01 Jul 68 Se Pahle Sevanivrut Hue Sainik. Koi bhi vyakti jisne sena main kisi bhi rank main (chahe vah ladakoo (Combatant) ho ya gair ladakoo (Non Combatant)) naukri ki ho aur vah Dismissal ya galat acharan ya akushalta ko chhodkar aur kisi bhi karan naukari se sevanivrut hua ho.
(b) 01 Jul 68 Ko Ya Uske Baad Aur 01 Jul 79 Se Pahaley Sevanivrut Hue Sainik. Koi bhi vyakti jisne sena main kisi bhi rank main (chahe vah ladakoo (combatant) ho ya gair ladakoo (Non Combatant) kasam khane ke baad kam se kam 6 mahine naukri ki ho aur vah Dismissal ya galat acharan ya akushalta ko chhodkar aur kisi bhi karan naukari se sevanivrut hua ho.
(c) 1979 Se 30 Jun 1987 Tak. Bhootpurva Sainik ka matlab wah vyakti jisne kisi bhi rank mein (chahe Combatant ho ya Non Combatant ho) Bharat Sarkar ki sena jisme pahle ke Bhartiya Rajya bhi shamil hain (parantu Assam Rifles, DSC, GREF, Lok Sahayak Sena aur Territorial Army ko Chhod kar) kam se kam 6 mahine ke liye kasam khane ke bad seva ki ho aur vah:-
Svechchha se, Dissmisal, galat acharan ya akushalta ko chhodkar aur kisi bhi karan naukari se sevanivrut hua ho
YA
Uski reserve mein tabdili ke liye jaruri seva ke liye jyada se jyada 6 mahine ki naukri ki jarurat ho
YA
Svechchha se 5 saal ki naukri puri karke sevanivrut hua ho
Authority: Govt of India, Ministry of Defence Notification No 3016/10/79-Estt(I) dated 15 Dec 1979.
(d) 01 Jul 1987 aur Usake Baad. Bhootpurva Sainik ka matlab vah vyakti hai jo thal sena, jal sena aur vayusena mein kisi bhi pad par seva pradan kiya ho, aur:-
(i) Jo apni pension pa kar sevanivrut hua ho.
(ii) Jo asvastha (medical) ke adhar par Apangta Pension (Disability Pension) ke saath sevanivrut hua ho tatha uski apangta seva se sambandhit ho.
(iii) Jo apni ichchha ke bina sangathan mein katauti ki vajah se sena ki seva se nivrut hua ho.
(iv) Svechchha ya Dismissal ya galat acharan ki vajah ya akushalta ko chodkar agar koi bhi vyakti jo ki naukri mein seva sharten puri karke sevanivrut hota hai aur use Gratuity bhi milti hai jisme Territorial Army ke vah vyakti bhi shamil hain jo ki :-
(aa) Lagataar embodied service ki vajah se pension dharak ho gaye ho.
(ab) Jinki apangta naukri ki vajah se ho.
(ac) Gallantry award dharak.
Authority: Bharat Sarkar, Raksha Mantralaya Office Memorandum No 36034/4/85-Estt (SCT dated 14 Apr 1987.
Note : Vah Recruits jinhe sharirik asvsthata (Medical Disability) ke adhar par fauj se discharge ya Medical Board dwara sevanivrut kiya ho aur jinhe Apangta Pension (Disability Pesnion) diya gaya ho woh bhi sabhi suvidha ke liye Bhootpurva Sainik ki shreni mein ayenge.
Authority: Bharat Sarkar, Raksha Mantralya letter No 12/I/2005/D(Res) dated 01 Feb 2006.