1. Abhilekh Karyalya Mechanised Infantry Regiment apne pragati path par safalta ki nai unchai ko chhu raha hai aur adhunik yug mein purn svachalan (automation) aur adhunikikaran ki bhari chunotiyon ka samna kar raha hai. Yah ek aisi sanstha hai jo Regiment ke Karyarat Sainikon ke career, Veer Nariyon, Bhootpurva Sainikon aur unke upar nirbhar pariwaron ke kalyan ki disha mein karya kar rahi hai.
2. Yah hamara athak pryas rahta hai ki iski karyakushalta aur karya pranali ki savachhata ko barkarar rakhate hue sab ki ashaon ke anurup tabadalon, tarakkion, War Establishment aur Peace Establishment ke adhar par unit ke pad aur sankhya ko bar krar rakha jaye.
3. Abhilekh Karyalaya hamesha Army intranet par web site ke zarie apni uniton aur karyrat sainikon ke sampark main rahta hai aur unki samasyaon ka jald samadhan karta hai. Ab sainik apani tarakki, tabadale aur seva nivruti ke aadesh aur Masik Vetan Parchi (Monthly Pay Slip) ka vivran avashaykta anusar download kar sakte hain tatha dekh sakte hain.
4. Masik Vetan Pranali aur PAO (OR) ka automation hone se AFPP Fund ka bhugtan bhi pratyaksh roop se vyakti ke bank khate mein ho raha hai jisse karyarat sainkon ka santushti leval bhi badh gaya hai.
5. Dastavejon ke satar ko sudharane tatha uniton ke Kaman Adhikarion ko manav sansadhan sambandhit vishyon ke liye Abhilekh Karyalaya ne kuchh mahine pahle, Record Office Instructions 2011 ke Revised Compendium ko jaari kiya hai. Ek hast pustika bhi prakashit ki gayi hai jismein vibhinn prakar ke Bhootpurva Sainikon aur unke ashriton ke hak aur kalyankari yojnaon ka vivran diya gaya hai. Ek hast pustika jis mein JCO aur anya jawanon ke career ke prabandhan tatha unke seva se sambadhit vishyon ko darshaya gaya hai ko bhi uniton ke Kaman Adhikariyon ke liye jaari kiya gaya hai.
6. Iske alawa ek Bhootpurva Sainik Suchana Kendra ki sthapana “Sarath Suvidha” ke roop mein ki gayi hai jahan Bhootpurva Sainik tatha unke aashrit jab MIRC mein bhraman karne aaye to apne pension sambadhi hak tatha MIRC mein UHQ bharti sambandhi jankari prapt kar sakte hain. Bhootpurva Sainik sahayta number 9970818414 ka istemal bhi kar sakte hain. Abhilekh Karyalaya ne ek brochure bhi jari kiya hai jisme Veer Nariyon, Vidhwaon ke vibhinn prakar ke hak tatha adhikaron ke bare mein bataya gaya hai.
7. Main apni team ki unke achhe karya ke liye prashansa karta hun tatha unse asha karta hun ki veh apna kathin parishram tatha lagan isi tarah jari rakhenge.
Jai Hind.
PRABHARI ABHILEKH ADHIKARI